मोमिन ये दर्जा प्राप्त कर लेता है
🌸*اَلسَّلاَمْ عَلَيْــــــــــــــــــــكُمْ وَ رَحْمَةُ اللہِ وَبَرَكَاتُهُ*🌸
🌷*HAQ KI BAAT HAQ KE SATH*🌷
📚*Hadees*📚
🌺*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* 🌺
حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ يَعْنِي الْإِسْكَنْدَرَانِيَّ، عَنْ عَمْرٍو، عَنْ الْمُطَّلِبِ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، يَقُولُ: إِنَّ الْمُؤْمِنَ لَيُدْرِكُ بِحُسْنِ خُلُقِهِ دَرَجَةَ الصَّائِمِ الْقَائِمِ.
रसूल अल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: मोमिन अपनी अच्छे अख़लाक़ी से रोज़ेदार और रात को क़ियाम (तहज्जुद पढ़ने) वाले का दर्जा पा लेता है।
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: momin apne achhe akhlaqi se rozedaar aur raat ko qiyam (tahajjud padhne) wale ka darja pa leta hai.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مومن اپنی خوش اخلاقی سے روزے دار اور رات کو قیام کرنے والے کا درجہ پا لیتا ہے۔
Prophet ﷺ said: “By his good character a believer will attain the degree of one who prays during the night and fasts during the day".
*Wazahat:* zara tasawwur kare ek aadmi jo rozedar hai qiyam karne wala hai aur ek woh jis ke paas husn ikhlaq hai, yeh shakhs jis ke paas husn ikhlaq hai qiyam karne wale rozedar shakhs ke darjay ko paa leta aur aap ﷺ ne farmaya: Qayamat ke din bande ke mizaan (tarazu) mein sab se bhaari chiz husn ikhlaq hoga [📗Tirmidhi: 2002]. Ek muqam par Hazrat Abdullah bin mubarak ra ne achhe ikhlaq ki tareef bayan karte hue farmaya: *ikhlaq hasanah logo se muskura kar milna hai, bhalai karna hai, aur dusro ko taqleef naa dena hai* [📗Tirmidhi: 2005].
📚 _*Sunan Abi Dawud: jild-4, kitab Al adab 47, hadith no. 4798*_
*Grade sahih*
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
💐جزاك الله خيرا💐 •••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••~~~••• Please Join Our Whatsapp Group HAQ KI BAAT HAQ KE SATH https://chat.whatsapp.com/GbD9itAVgnc3OsuW4m7CRC & Please Like Our Facebook Page Masjid Al Aziziya Jeddah https://m.facebook.com/HaqKiBaatHaqKeSath/ Follow On Instagram https://www.instagram.com/haqkibaathaqkesath/?hl=en Please Subscribe Our YouTube Cannel:- https://www.youtube.com/user/SHAKEELFALKI
Very good
जवाब देंहटाएं