*❀ Aasaan Deen ❀* ︶*
︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽* *Bismillahirrahmanirrahim* *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾* *︵︷︵︷︵︷︵︷︵* *❀ Aasaan Deen ❀* *︶︸︶︸︶︸︶︸︶* *❥ Part – 38 ❥* ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂ ❧ Allah Ta’ala ne irshaad farmaaya: Jo koi shakhs Islaam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain. 📓 [Sura-e-Aale Imraan: 85] ❧ Allah Ta’ala ne Deen-e-Islaam ko Aap ﷺ par mukammal kar diya hai, Allah Ta’ala ne apni kitaab mein Deen ke mukammal ho jaane ki khush khabri di hai. Ab is mein kisi kami ya ziyaadati ki gunjaaish nahin hai. Allah Ta’ala ka irshaad hai: Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya, tum par apni nemat mu...