#haqkibaathaqkisath
🌸*اَلسَّلاَمْ عَلَيْــــــــــــــــــــكُمْ وَ رَحْمَةُ اللہِ وَبَرَكَاتُهُ*🌸
🌷*HAQ KI BAAT HAQ KE SATH*🌷
🌺*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ* 🌺
📚Hadees📚
حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ يَحْيَى أَخْبَرَنَا أَبُو قُدَامَةَ الْحَارِثُ بْنُ عُبَيْدٍ عَنْ أَبِي عِمْرَانَ عَنْ جُنْدَبِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ الْبَجَلِيِّ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ اقْرَءُوا الْقُرْآنَ مَا ائْتَلَفَتْ عَلَيْهِ قُلُوبُكُمْ فَإِذَا اخْتَلَفْتُمْ فِيهِ فَقُومُوا
रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: तुम उस वक़्त तक क़ुरआन पढ़ते रहो जब तक तुम्हारे दिल इस पर एक दूसरे के साथ मुवाफ़िक़त करते रहें ( क़ुरआन के माने तुम्हारे दिल पर वाज़ेह होते जा रहे हों ) जब तुम उस में इख़तिलाफ़ करने लगो तो उठ जाओ।
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: tum us waqt tak quran parhte raho jab tak tumahre dil is par ek dusre ke sath muwafiqat karte rahen ( quran ke maane tumahre dil par wazeh hote ja rahe hon ) jab tum usme ikhtilaaf karne lago to uth jao.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم اس وقت تک قرآن پڑھتے رہو جب تک تمہارے دل اس پر ایک دوسرے کے ساتھ موافقت کرتے رہیں ( قرآن کے معانی تمہارے دل پر واضح ہوتے جا رہے ہوں ) جب تم اس میں اختلاف کرنے لگو تو اٹھ جاؤ ۔
Prophet ﷺ said: “Recite the Qur'an as long as your hearts agree to do so, and when you feel variance between them (between your hearts and tongues), then get up (and leave its recital for the time being).”
*Wazahat:* ek momin Quran ki tilawat tab tak kare jab tak uska dil is baat se ittefaq rakhe ke Quran mein likhe kalaam uske dil wa zehen mein utar rahe ho, agar kisi wass wase ki wajah ya kisi aur wajah se uske zehan bhatak raha ho to momin ko chahiye ki wo ruk jaye ya thoda waqfa lele. Iss hadees se ek baat aur pata chalti hai ke ek musalman momin ko Quran samajh kar padhna chahiye, hum mein se yaqinan aksar log iss baat se nawaqif hain ke tilawat e Quran ka sahih maane kya hai, kya sirf quran padhne (reading) lagane ke liye nazil hua? Beshak NAHI. Allah ne Quran mein farmaya _*Jinhen hum ne kitab di hai aur woh isse parhne ke haq ke sath parhte hain woh iss kitab par bhi imaan rakhtay hain...*_[📖Quran 2:121]. Iss Ayat mein momino ki sifat quran mein *حَقَّ تِلَاوَتِہِ* ki shart lagayi gayi hai, yani iss tarah tilawat ki jaye jis tarah tilawat ka haqq hai, banda samjhega nahi toh beshak wo amal se bhi duur rahega. Allah ne ek dusre muqam mein farmaya _*Kiya yeh quran mein gor-o-fiker nahi kertay? Ya inn kay dilon per talay lag gaye hain.*_[📖Quran 47:24].
📚 _*Sahih Muslim: jild-6, Kitab ul Ilm 47, hadith no. 6777*_
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸
💐جزاك الله خيرا💐 •••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••~~~•••
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें